Zad-e-Roz | Deen aur Tibb ki Mukhtasar Rozana Rehnumai
Islahi Nukta | Dastak Ijazat Hai, Hukm Nahin
Saturday, 12 September 2026 | 29 Rabi al-Awwal 1448 Hijri
Ek sahab ne darwaza khatkhataya. Jawab na mila to bell aur phone musalsal bajate rahe: “Ghar mein hain to darwaza kyun nahin kholte?” Ho sakta hai andar koi beemar ho, koi khatoon tanha ho ya us waqt milna mumkin na ho.
Rasulullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Teen martaba ijazat maango; mile to andar jao, warna laut jao. (Sahih Bukhari: 6245; Sahih Muslim: 2153) Kisi ka ghar uski private jagah hai. Bell bajana ittela hai, darwaza khulwane ka haq nahin. Jawab na mile to khamoshi ki bhi ek hurmat hai.
General education only; not a substitute for personal diagnosis or treatment.
Muallif: Hakeem Muhammad Zaki Al Usmani
Nashir: Muradia Al Furqan Academy, Muzaffarnagar
Rabita: 8006482710
Telegram: @MAFAMZN